Ilahi Teri Chokhat Par Bhikari Ban Ke Aaya Hoon | Urdu Lyrics

Following are the lyrics of Naat :

Zahir ki aankh se na tamasha kare koi,

Ho dekhna to deeda-e-dil waah kare koi,

Parh bethe kia samjh ke bhala toor par kaleem,

Taakat ho deed ki to takaza kare koi .

• Ilahi teri chokhat par bhikari ban ke aaya hoon,

Saraapa fakhr hoon ijz-o-nadaamat saath laaya hoon

• Ilahi teri chokhat par bhikari ban ke aaya hoon,

Saraapa fakhr hoon ijz-o-nadaamat saath laaya hoon

• Bhikari wo ke jis ke pass jholi hai na payaala hai

Bhikari wo jisse hirs-o-hawas ne maar daala hai

• Mata-e-deen-o-danish nafs ke haathon se lutwa kar

Sukoon-e-qalb ki daulat hawas ki bheent chadwa kar